Pages - Menu

Search This Blog

Zindagi Shayari

Zindagi Shayari
Yon lage dost tera mujhase khafa ho jana
jis tarah phul se khushbu ka juda ho jana
ahal-e-dil se ye tera tark-e-ta'alluq
waqt se pahale asiron ka riha ho jana
yon agar ho to jahan mein koi kafir na rahe
mo'ajuza tere wade ka wafa ho jana
zindagi main bhi chalunga tere piche-piche
tu mere dost ka naqsh-e-kaf-e-pa ho jana
jane wo kon si kaifiyat-e-gamkhvari hai
mere pite hi “qateel” us ko nasha ho jana.

--

Jenay Ko Sub Jetay Hain Her Saya Zukhmi
Jungle Kay Punshi Chup Kay Keydi
Burbat Kay Nagmay Dur Ka Sholay Petay Hain
Karnay Ka Jazbay Roti Kay Keydi Durya Ka Pani
Bhegi Billi Hur Bill Kay Sunkh Main Rehtay Hain
Jo Khushki Ki Ghutri Ko Barish Sumjay Thay
MoĆ¢€™onh Kholay Sub Aabi Bhagay Doray
Kush Kut Mary Khush Thak Gray Jo Chultay Gaya
Khaboon Ki Basti Bastay Hain Jenay Ko Sub Jetay Hain.

--

Dard Ki Har Ik Hadd Se Ab Guzar Gaya Hon Main
Phir Kabhi Na Simtunga Youn Bikhar Gaya Hon Main

Mout Bas Naheen Aati Rooh K Nikalne Se
Sans Mujh Main Baqi Hai Phir Bhi Mer Gaya Hon Main

Zindagi Main Jitni Bhi Roshni Thi Uss Se Thi
Mustaqil Andhero’n Main Ab Utar Gaya Hon Main.

--

Zindagi Hai Nadan Isiliye Chup Hoon,
Hoth Keh Nahi Sakte Jo Fasana Dil Ka,
Shayad Nazron Se Vo Baat Ho Jaye,
Is Ummid Se Karte Hain Intezar Raat Ka,
Ke Shayad Sapne Me Mullakat Ho Jaye.

--

Ye raz hai meri zindagi ka
pahane huye hun kafan khudi ka
phir nashtar-e-gam se chedate hain
ik tarz hai ye bhi dil dahi ka
o lafz-o-bayan mein chupane wale
ab qasd hai aur khamoshi ka
marana to hai ibtada ke ik baat
jina hai kamal muntahi ka
han sina gulon ke tarah kar chak
de mar ke sabut zindagi ka.

No comments:

Post a Comment