Pages - Menu

Search This Blog

Zindagi Shayari

Zindagi Shayari
Lamhon ke aazab sah raha hun
main apne vajud ke saza hun
zakhmon ke gulab khil rahe hain
khushbu ke hujum mein khada hun
is dasht-e-talab mein ik main bhi
sadiyon ke thaki hui sada hun
benam-o-numud zindagi ka
ik bojha uthaye phir raha hun
ik aisa chaman hai jis ke khushbu
sanson mein basaye phir raha hun
ik aisi zamin hai jis ko chukar
takadis-e-haram se aashna hun
ae mujh ko fareb dene wale
main tujh par yaqin kar chuka hun
main tere qarib aate aate
kuch aur bhi dur ho gaya hun.

--

Sapnay Ki Tarha Tujhey Saja K Rakhon
Chandni Raat Ki Nazron Se Chupa K Rakhon
Meri Taqdeer Meray Saath Nahin Hai
Warna Zindagi Bhar Tujhay Apna Bana K Rakhon.

--

Sanson Ka Pinjara Kisi Din Toot Jayega
Phir Musafir Kisi Rah Mein Choot Jayega!
Abhi Sath Hai To Bat Kar Lia Karo
Kia Pata Kub Zindagi Ka Sath Choot Jayega.

--

Han kis ko hai mayassar ye kam kar guzarana
ik bankpan se jina ik bankpan se marana
dariya ki zindagi par sadqe hazar jane
mujh ko nahi gavara sahil ki maut marana
sahil ki lab se pucho dariya ki dil se pucho
ik mauj-e-tah-nashin ka muddat ki bad ubharana
jo zist ko na samajhe jo maut ko na jane
jina unhin ka jina marana unhin ka marana.

--

Aaya tha ghar sanvarane ehasan kar gaya
barbadiyon ka aur bhi saman kar gaya
ab tak rahi us ke yaad meri zindagi ke sath
do char pal ke mujh se jo pehchan kar gaya
aankhon ne jis ke shauq mein raten sajai thin
khvabon ke anjuman wohi viran kar gaya
jhonka nasim-e-subah ka aaya to tha magar
gulshan ke har kali ko pareshan kar gaya.

No comments:

Post a Comment