Pages - Menu

Search This Blog

Phir Kaise Na Kahu, Ke Meri Jaan Ho Tum..!!......Shireen Hakani

Photo: Aankhon Ki Chamak, In Palko Ki Shaan Ho Tum,
Chehre Ki Hansi, Mere Labo Ki Muskaan Ho Tum,
Dhadakta Hai Yeh Dil Sirf Tumhari Aarzoo Mein,
Phir Kaise Na Kahu, Ke Meri Jaan Ho Tum..!!

Dekha Nahi Ab Tak Jisse Woh Anjaan Ho Tum,
Ehsaason Mein Base Hue Mere Armaan Ho Tum,
Hota Nahi Raabta Aaise Hi Dil Kisi Se Duniya Mein,

Mere Kalam Ki Zubaan, Meri Pehchaan Ho Tum,
Dil Par Jo Likh Diya Hai, Woh Nishaan Ho Tum,
Saansien Nahi Yaar Maangte Hai Muqaddar Mein,

Meri Jeene Ki Wajah, Dhadkano Ki Aan Ho Tum,
Saaya Ban Kar Chale Jo, Mere Aasmaan Ho Tum,
Udasiyon Ki Zindagi Se Mujhe Nikala Hai Tumne,

By Shireen Hakani of Yoindia Shayariadab

http://www.yoindia.com/shayariadab/shayri-for-khumar-e-ishq/phir-kaise-na-kahu-ke-meri-jaan-ho-tumshireen-hakani-t85224.0.html

Aankhon Ki Chamak, In Palko Ki Shaan Ho Tum,
Chehre Ki Hansi, Mere Labo Ki Muskaan Ho Tum,
Dhadakta Hai Yeh Dil Sirf Tumhari Aarzoo Mein,
Phir Kaise Na Kahu, Ke Meri Jaan Ho Tum..!!

Dekha Nahi Ab Tak Jisse Woh Anjaan Ho Tum,

Ehsaason Mein Base Hue Mere Armaan Ho Tum,
Hota Nahi Raabta Aaise Hi Dil Kisi Se Duniya Mein,
Phir Kaise Na Kahu, Ke Meri Jaan Ho Tum..!!

Mere Kalam Ki Zubaan, Meri Pehchaan Ho Tum,
Dil Par Jo Likh Diya Hai, Woh Nishaan Ho Tum,
Saansien Nahi Yaar Maangte Hai Muqaddar Mein,
Phir Kaise Na Kahu, Ke Meri Jaan Ho Tum..!!

Meri Jeene Ki Wajah, Dhadkano Ki Aan Ho Tum,
Saaya Ban Kar Chale Jo, Mere Aasmaan Ho Tum,
Udasiyon Ki Zindagi Se Mujhe Nikala Hai Tumne,
Phir Kaise Na Kahu, Ke Meri Jaan Ho Tum..!!

No comments:

Post a Comment