Raah-e-ulfat dikhaaooN tujhe jaaneman.
Aaj apnee banaaooN tujhe jaaneman.
Dil kee dhadkan sunaaooN tujhe jaaneman.
Aa gale se lagaaooN tujhe jaaneman.
Raat bhar meree palkeN jhapaktee naheeN.
Kaise dil se bhulaaooN tujhe jaaneman.
Mujh pe kar le yaqeeN ye hai waadaa meraa.
Ab n aage sataaooN tujhe jaaneman.
MaiN deewaanaa hooN janam -o –janam kaa teraa.
Raaz dil kaa bataaooN tujhe jaaneman.
Dekh aankhoN meN meraa hai teraa hee aks.
Ab kyaa likh kar dikhaaooN tujhe jaaneman.
Toone maangaa hai khoon-e-jigar jo meraa.
Zahr kaise pilaaooN tujhe jaaneman.
Tujhko dikhtee naheeN meree maasoomiyat.
Kis tarah se rijhaaooN tujhe jaaneman.
Too vatan meN hai pariyoN ke baithee hui.
Paas kaise bulaaooN tujhe jaaneman.
Khol kar maine rakh dee hai saaree kitaab .
Paath ab kyaa padhaaooN tujhe jaaneman.
Ro uthaa ‘saini’ ab to zaraa muskuraa.
Aur kaise hansaaooN tujhe jaaneman.
No comments:
Post a Comment