Pages - Menu

Search This Blog

Zindagi Shayari

Zindagi Shayari
Is tarah har gham bhulaya kijiye
roz maikhane mein aaya kijiye
chod bhi dijiye takalluf shekh jee
jab bhi aayen pi ke jaya kijiye
zindagi bhar phir na uterega nasha
in sharabon mein nahaya kijiye
ae hasinon ye guzarish hai meri
apne hathon se pilaya kijiye.

--

Vishwas Banke Log Zindagi Main Aatey Hai
Khwab Banke Aankhon Main Samaa Jaatey Hai
Pehle Yakeen Dilate Hai Ki Woh Hamare Hai
Phir Na Jaane Kyu Badal Jaatey Hai.

--

Zindagi Dene Vale Marta Chod Gaye
Apnapan Jatane Vale Tanha Chod Gaye
Jab Padi Jarurat Hume Apne Humsafar Ki
Vo Jo Saath Chalne Vale Apna Rasta Mod Gaye.

--

Zindagi Ek Chahat Ka Silsila Hai,
Koi Mil Gaya To Koi Bichad Gaya,
Jinhe Manga Tha Duao Mein,
Voh Kisi Ko Bina Maange Mil Gaya.
Ankhon Ki Zuban Woh Samajh Nahi Pate,
Hooton Se Hum Bhi Kuch Keh Nahi Pate,
Apni Bebasi Hum Kis Tarah Kahe,
Koi Hai Jiske Bina Hum Reh Nahi Pate.

--

Aadmi aadmi ko kya dega
jo bhi dega vahi khuda dega
mera qatil hi mera munsib hai
kya mere haq mein faisala dega

zindagi ko qarib se dekho
isaka chehara tumhen rula dega

hamase pucho dosti ka sila
dushmanon ka bhi dil hila dega
ishq ka zahar pi liya “fakir”
ab masiha bhi kya dava dega.

No comments:

Post a Comment