Mein khud pehel karoon yaa UDHER se ho Ibteda
Barson guzar gaey hain yahi sochtey huey
--
Khaamosh tum thay aur merey Hont bhi bund
Phir itni dair kaun tha jo bolta raha
--
Chub na jaaye palko ka saya unko,
Ke wo jo najuk badan nigahon mein raha karte hai.
--
Hye kaun na mar jaya yeh sadgi per .....
Ladta hai aur hath me Talwar bhi nahi....
--
Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par,
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi.
--
Wo jaisay qareeb say guzray to yeh hua mehsoos,
Guzar rahi ho dabay paon zindagi jaisay.....
--
Juda kissi say kissi ka garz habib na ho,
Yeh wo daag hai jo dushman ko bhi naseeb na ho.
--
Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi
--
lahu bhi kam pada to ashkon ki syahi se usse khat
likha, zaalim ne kora kagaz samajh ke phaad diya...
--
Aankhon ki gehari jheel me dubaye ja rahi ho;
Tairna mujhe aata hai, Magar bacchna hai kisko?!!

No comments:
Post a Comment