Yeh Kalaam Mere Dil Ke bahut Kareeb Rahega,Isliye Kyonki Yeh Kalaam Main
Kisi Ki Guzaarish Par Likh Raha Hoon, Uss Shakhs Ne Mujhse yeh kahaa
Tha Ke Kabhi Pardesiyon Ke Dard par Zaroor Kuch Likhiyega,Unke Mutaabik Main
Inn JazboN Se Insaaf
Shayad kar Paau..Kuch Unn Logon par Likh Raha Hoon
Duniyavi Majbooriyon Ki Wajeh Se Apno Se Bichadkar Pardes Mein Rehne Jaate Hai
Do Roti Ki Bhook Insaan Ko Insaan Yaa Yeh kahoon Apno Ko Apno se Juuda Kar Deti Hai
Bin Apno ke Naa Diwali-Diwali Lagti Hai, Naa Eid-Eid...Umeed Karta Hoon Aap Sab Ke Dil Ko Chuu sakoon
Aur uss Dost Ki Iss Guzaarish Ko Sahee Lafz De Sakoon..Shukriya
Woh Pardes Jaa Kar Puchte Hain,Kya-Kya Lekar Aau "Faraaz"
Aur Hum Gore Kaagaz Par Uskaa Naam...
Likhte Gaye..Likhte Gaye..Likhte Gaye...!!!!
Aaj Kisi Baat par Sach Kehta Hoon Muskuraaya Naa Gaya
Kya Kahun, Bin Tere Ek Pal Bhi Sukoon Se Bitaaya Naa Gaya
Mujhe Yaad Hai Tera Darwaaze Tak Aakar Mujhe Vida Karna..!!!
Yaadon Ke Uss Kaafile Ko Zehan Se Mitaaya Naa Gaya
Tanha Raaton MeiN Apni Hi Parchai Ko Dhundhta Raha Main
Kisi Bhi Bahaane Se Apne Mann Ko Aaj Behlaaya Naa Gaya
Maa Ke Banne Haathon Ke Rotiyon Ki Bahut Yaad Aayi..!!!!
Sab Kuch Tha Paas Mere Par Pet Bhar Khaaya Naa Gaya
Naa Jane Kitni Umeedein Baandhi Hai Ghar Par Sabne Mujhse
Zimmedariyon Ka Bhoj Mujhse Iss Kadar Uthaaya Naa Gaya
Duniya Ki Iss Bheed MeN Khud Ko Kho Naa Doon,Darr Lagta Hai
Par Iss Chaar Deewari Makaan meN Khud Ko Chupaaya Naa Gaya
Aaj Eid Hai, Kal Diwali Aayegi, Dher Saari Khushiyan Layegi
Bin Apno Ke Pardes mein Yeh Tyohaar Mujh se Manaaya Naa Gaya
Sochta Raha Tujhse Haal-e-Dil Keh Doon To Kuch Tassali Mile..!!
Par Tujhe Ruula Naa Doon isliye Mujh se Kuch Bataaya Naa Gaya
Kuch Yuh Ho "Mere Khuda" Ke Mera Pariwaar Mere Saath Rahe..!!!!
Tanha Hoon Isliye Ashq AankhoN meN Mujh se Laaya Naa Gaya

No comments:
Post a Comment