A very creative and close to life "Mazahiya Creation"..
Share it only if you really like it :)
paraatha moolee ka itna zaayqedaar rahaa.
ke naashtaa aaj badaa vazandaar rahaa.
khaa gaye raayete ke saath 6-7 paraathe hum.
haazmaa hamaara khoob damdaar rahaa.
aane lagaa nateejah chundd hee ghanto.N baad.
matt puchiye phir kitna shaandaar rahaa.
hue azzo-azzo jism ke mere hairaan phir.
pait apnaa intehaaee dhamaakedaar rahaa.
goonjne lagee awaazein toap-see tanhaaee main.
padosee bhee iss khatre se khabardaar rahaa.
bhaag gayee bivee bhee jo maayke apne.
dekhiye asar moolee ka kitna zordaar rahaa.
hua khaamosh 'shor' bhee inn dhamaako.N se.
reaction inn paraatho.N ka bahut asardaar rahaa.
khaaee qasam QALB ne phir aise paraathe se.
aaindaa paraatha na moolee ka didaar rahaa.

No comments:
Post a Comment