Aaj bhar aai aaNkhe tujhe yaad kar, jaane kyoN tum gaye ho ye dil todkar
Ajnabee ban gayaa teri najroN meN maiN, ab udaasi ki chaadar rahuN odhkar
Chot mujhko lagee yaad aayee teree, ab dawaa bhi naheeN kaam kartee koee
Haath hi tera kaafi thaa rakh dete jo, kyoN bhalaa tum gaye mujhse muNh modkar
Tum jo hote mere paas itnaa yaqeen, meri duniyaa na veeraan hotee sanam
Ud gayaa ek jhoNke meN sab kuch meraa, aashiyaana banaaya tha ik jodkar
Ik qasam roktee hai kadam mere ab, tumne dee thee mujhe vo naheeN bhooltee
Apna vaada bhulauN bhalaa kaise maiN, tum bhale hee gayee ho mujhe chodkar
Laakh maine manaaya na maane sanam, Kho chukaa mai bharosaa tumhaaraa sanam,
Jee ke kyaa maiN karunga tumheeN jab naheeN, MaiN chala jaaunga ye jahaan chodkar
Raaz seene meN kab tak rahega mere, maiN naheeN jaanta Jee bahut maiN chukaa
Zindgee se pareshaan ‘mukesh’ tanhaa, door sab jaa chuke hai use chodkar
No comments:
Post a Comment