Pages - Menu

Search This Blog

Allahafez



Mere nathnaon se tere jism ki khusbu na gai
Dil se wo pahli mulaqat ki rangat na gai
Tere hataon pe abhi rang-e-hina dikhta hai
Ae meri jaan tere hijr may dil dukhta hai

Yaad aati hai teri ashk bahaleta hoon
Teri tasweer ko sine se lagaleta hoon
Din to kat jata hai par raat taher hati hai
Ashk ankhaon se bahata hoon to dhaljati hai

Bhoke bachaon ki tarha dilko daga deta hoon
Khali handi ke tale aag laga leta hoon
Jane kyaon pyar ka koi waqt nahi hota hai
Apne hi aapse dil jane kahan khota hai

Siney may dard bhi uthte hain bina notice ke
Sukh se jita tha jo kal aaj wahi rota hai
Sari bechaeniyaon ko jhel ke bhi aath paher
Uski hi shakal ko ankhaon may saja leta hai




No comments:

Post a Comment